jab paimano ke saath saath dil bhi toot jaate hai
nashe sharaab ke aksar utar jaate hain
par hosh aane nahin deta gar ho nasha shabaab ka
gar utar jaaye yeh toh yaad aata hai saath phir sharaab ka
zakhm chipane mein ham mahir the
jab talak unse na the mile
woh toh hamse bhi jyada tez nikale
saare dard hamare padhne ko
•
yeh dil bahut udaas hai
.tumse milne ki aas hai
..rubaru na ho saki tum to kya
dil ke to woh hamare paas hai
•
kya dhoondne nikale the par kya hamne paaya
milan ki chah walon ne virah ka dukh paaya
kisne kaha tha jao unke dar par unse milne
gar na jaate toh gairon ka jamghat toh na paaya hota
ghar mein baithe rehte to tumahara kiya bigad jaata
parchaaiyon mein apna aks dhoodne walo
nikal ke andhero se ujalo mein kadam rakho
dikhegenge zindagi ke tamam rang tumhe ek jagah
bhara rahega daaman tumahar kushiyon se sada............
Saturday at 10:13am •
pareshaniyon ne gher rakha hai mujhko
kissi tarah aata nahin chain iss bekarar dil ko
kaya karoon kahan jaoon yeh samajh aata nahin
gar mile tera pal bhar ko sahara to shaayad sab bhool jaaon
September 9 at 5:07pm
laut gaye hain ham apne ateet mein
ke ussi duniya mein khush hai ham
yeh aaj to patthoron ka shahar hai
apni khushi ke liye phode kis kis se ham sar
Mere dilo dimaag par chhai ho tum
hosho hawas kho baitha hoon baad tujhse milne ke
log kehte hai shama hai phoonk dalegi mujhe
par mein bhi parwana hoon jal kar hi milega sukoon mujhe
September 8 at 10:59am • Comment • Like
badh kar choo na sakoon yeh kaisi doori hai
pyar karke bhiapna na sakoon yeh kaisi majboori hai
zamane ne baandh diye hai yeh badhte kadam warna
yeh chand kadam ke faasle bhi koi doori hai
September 8 at 10:57am •
tan bhi pyasa man bhi pyasa
kaisa yeh hai saawan aaya
baras raha yeh bahar rimzim
antarman ko choo na paaya
Dharti paataal mein Zameen aasmaan mein
chup jao kahin bhi magar dhoond lege tumhe ham
par kho na jaana gair ki bahon mein
chah kar bhi wahan pahunch paayenge na ham
September 7 at 9:19pm • Comment • Like
apna banana phir bhulana yeh hunar tum mein aaya kaha se
palkon mein bithana,phir ashk bahana yeh dastoor to hamara tha
September 7 at 8:15am • Comment • Like
mere man ki gehrayee tu bhanp nahin sakti
mere pyar ki seema tum baandh nahin sakti
karte hai pyar inteha ham kewal tumse
bhool kar bhi iss sach ko tum jhutla nahin sakti
September 6 at 2:08pm • Comment • Like
•
ruk gaye hain aaj unki tarf badhte yeh kadam
yaad dilaya unhone phirse hain woh amanat gair ki
kaash rok diya hota hame uss samay
jab uthe the kadam aapke pehli bar meri taraf
September 7 at 8:13am • Comment • Like
•
yeh kaise jaadoo hai teri yaaddon ka
sukhe mein bhi de rahi mazza barsaat ka
basi ho tum meri saanso mein
ho tum zindagi ki dor meri
karo vada no chodogi kabhi mujhe
rahogi ban ke umr bhar tum sirf meri
September 6 at 7:01am • Comment • Like
ksar aisa kyon hota hai
chand lamhe hi kaafi hot hai
gairon ko apna banane mein
aur saath kaate umr bhar ssath jinke
woh bhi kam hote hai unhe samajhane ko
September 5 at 10:03am • Comment • Like
•
jaagte rahe raat raat bhar
ki aaogi tum sunane daastaan hamari
na hua deedar jab tumahara,gaye dar par ham teri
wahan pehle se hi log the apna gam bayan karne ko
kaise bhala aati tum unhe chod kisse hamare sunane ko
September 5 at 10:01am • Comment • Like
करवटें बदलते तमाम रात काट दी हमने आँखों आँखों में
महेज इस लिए की नहीं थे वो हमारे पहलू में
जब भी हाथ बढ़ाया तो वीरान था बिस्तर
सिरहाने को हाथ लगाया तो उसे भी गीला पाया
September 4 at 12:22pm •
bhool gaye tumhe dekh kar jahan sara,
khuda kare na aaye wapas kabhi yaadasht apni
September 1 at 3:24pm •
yaadon ki waadiyon se nikal kar jab paav rakha zameen par
ubhar aaye gujare zamane ka chaale har makam par
September 1 at 3:23pm
sara jahan jal mein dooban
ayan hamare sookhe hai
duniya karti mauj milan mein
ham judai ke akele saathi hai
August 27 at 1:15pm • Comment • Lik
ar jo chue ho khud badal mein
unhe khud ke ashkon ka ehsaas nahin hota
August 27 at 8:49pm • Like •
parchaayion se bhi ab darne lage hain ham,
kahin inme chupe tere yaadgaar lamhe na ho
gar lipat gaye nikal ke andharon se yeh ham se
bemaut hi mar jaayenge ham tumahare khayalon ke bojh se
August 26 at 9:50pm • Comment • Like
•
yaadon ke sailab mein bah jaane se darte hain ham,
isiliye tujh se zude har nishaan se door rehte hai ham
sara jahan jal mein dooban
ayan hamare sookhe hai
duniya karti mauj milan mein
ham judai ke akele saathi hai
garjat chamkat barsat baadal..har taraf hai paani paani
par bin tumahare hai kyon sooni meri yeh zindagaan
aaj phir se koshish ki hai unhe bhool jaane ki
phir se naakaam ho gaye hain aaj ham
yeh kaisa daur aaya hain ham par
ho kar ke naakam bhi aaj bahut khush hai ha
No comments:
Post a Comment